Qabz ka fori gharelu ilaj (5 Best Treatments)

Dr. Tehmasip Ali
26th May, 2025
⏱︎ 7 min read

Kya aap qabz ki wajah se pareshan hain? Kya aapko lagta hai ke qabz ka ilaj mushkil hai? Sachai yeh hai ke zyada tar log qabz ka gharelu ilaj galat tareeqe se karte hain. Isliye unka qabz ka fori ilaj kaam nahi karta. Aaj hum aapko qabz ka ilaj in urdu mein batayenge. Yeh tareeqe bilkul asaan hain. Yeh qabz ka desi ilaj aur qabz ka gharelu ilaj dono shamil hai.
Is article mein aap seekhein ge:
Qabz ki 5 aam wajuhaat (Causes)
1. Pani ki kami (Dehydration)
Agar aap rozana 6–8 glass paani nahi peetay, to aap ka digestive system slow ho jata hai.
Pait ka mawa sukh jata hai, jo kabz ka sabab banta hai.
Mayo Clinic ke mutabiq, dehydration directly stool ko hard aur dry banata hai.
2. Diet mein fibre ki kami
Agar aap roti, chawal, aur fried items bohat zyada khate hain — aur sabziyon aur fruits bilkul nahi lete — Toh apki body ko fibre nahi milta jo ke phir qabz ka sabab banta hai.
Healthline ke mutabiq, low-fibre diet constipation ka #1 cause hai.
3. Exercise Na Karna
Pakistan mein zyada tar log exercise nahi karte.
Jab body move nahi karti to intestines bhi slow ho jate hain. Aur yeh bhi qabz ki waja ban sakti hai.
4. Stress aur tension
Tension se sirf dimagh nahi, pait bhi suffer karta hai.
Stress digestive system ko slow karta hai, jis se food zyada der tak andar rehta hai — aur qabz ho sakti hai.
Cleveland Clinic ke mutabiq, stress aur digestion ka direct link hai.
5. Zyada chai aur junk food
Chai dehydration karti hai, aur junk food mein fibre nahi hota.
Is combination se body ka natural flow ruk jata hai — aur result hota hai sakht qabz.
Looking for a General Physician in Lahore?
At AHMC, we provide you with one of the top MBBS general physicians in the city.

Qabz ke 5 fori aur gharelu ilaj:
1. Garam Pani Khali Pait
Garam pani subha peena aik asaan aur fori relief ka tareeqa hai.
How:
1 glass halkay garam pani ka subha uth kar, khali pait peeyein.
Why it works:
Garam pani intestines ko stimulate karta hai aur stool ko soften karta hai.
Is se pait saaf hota hai bina kisi medicine ke.
2. Ispaghol + Dahi
Ispaghol fibre ka source hai, aur dahi mein good bacteria hotay hain.
How:
Raat ko sone se pehle 1 chamach ispaghol + 3 chamach dahi lein.
Why it works:
Yeh combination stool ko soft banata hai aur digestion ko smooth karta hai.
WebMD ke mutabiq, psyllium (ispaghol) chronic constipation mein effective hai.
3. Lemon Water (Nimbu aur Garam Pani)
Nimbu vitamin C + acidity control karta hai.
How:
1 glass garam pani mein aadha nimbu + 1 chamach shahad mix kar ke subha lein.
Why it works:
Nimbu digestion ko behtar karta hai aur body ko detox karta hai, jis se stool soft hota hai.
4. Dahi + Kali Mirch
Probiotics + spice combo.
How:
1 katori dahi mein chhanti hui kali mirch daal kar subha ya raat mein lein.
Why it works:
Good bacteria digestion ko fast kartay hain aur mirch intestinal muscles ko move karti hai.
5. Taza Sabziyaan
Palak, tori, kaddu — sab fibre se bhare hue hotay hain.
How:
Rozana 1 waqt ka khana sabzi se bharpoor rakhein.
Why it works:
Fibre se rich sabziyaan stool ko bulking agent deti hain, jo easy bowel movement mein madad karti hain.
Loving the Blog So Far?
We post daily health tips like this on our Instagram. Make sure you don't miss them out!
Qabz ka 1 desi ilaj:
Use Senna Leaves (Sana Makki)

Sana Makki aik purana desi nuskha hai jo fori aur strong constipation relief ke liye use hota hai.
How:
1 chamach sana makki ko 1 cup paani mein 5–7 min ubal kar, chaan kar peeyein.
Why it works:
Yeh ek natural herbal laxative hai jo stool ko forcefully move karta hai.
Note: Har roz use na karein, yeh sirf emergency relief ke liye hai.
Kab Doctor Se Rujoo Karna Zaroori Hai?
Agar in symptoms mein se koi bhi nazar aaye, to fori doctor se mashwara karein:
- 3–4 din tak stool na aaye
- Khoon nazar aaye toilet mein
- Har hafte repeat ho rahi ho qabz
- Dard ke sath bloating ho
Hamare clinic mein qualified general physicians rozana digestion ke cases check karte hain. WhatsApp karein ya appointment book karein.
Conclusion:
Is article mein humne qabz ke 5 best gharelu ilaj discuss kiye hain.
Zyada tar cases mein, sirf yehi tareeke qabz door karne ke liye kafi hote hain…
Lekin agar apko in gharelu ilaj ke baad bhi aram na mile…
To time waste na karein.
Aur jald se jald, doctor se rujoo karein.


Contact Now:

0309-9339981
© 2025. All rights reserved.
© 2025. All rights reserved.